Saturday, 11 January 2014

3 Imam aik taraf hoon aur aik Imam aik taraf to kis maslay par amal karna chahiye ???

 ¤ AIK SHUHBAH AUR IS KA IZALAH ¤ 

• Aik din 1 sahab mujhay kehnay
lagay ager kisi maslah may 

• = 3 Imam aik taraf hoon aur aik
Imam aik taraf to kis maslay par amal
karna chahiye ??? 

• = Menay kaha apnay imam ki
TAQLEED karna chahiye ¤ 

• = Kehnay laga agerchah dusri taraf 3
Imam hoon ? 

• = May nay kaha aap kay khilaaf 4
hoon to aap un ki mukhalifat say nahi
dardhtay ¤ 

• = 4aroon Imamoon kay haan 1
Majlis ki 3 TALAQAIN 3 hain ¤ 

• = Aur ye aap sub kay khilaaf hain ¤ 

• = 4aroon Imamoon may say kisi kay
haan bareek juraboon par Masah
karnay say wazu'o nahi hota ¤ 

• = Aap sub kay nazdeek [4aroon
Imam] aur in kay Muqallid bewazu'o
Namazain zaaye kartay hain ¤ 

• = 4aroon Imamoon kay nazdeek
Muqtadi Ruku'o may milay to us ki
Raka'at puri shumaar hoti hay ¤ 

• = 4aroon Aayimmah Namaz e
Janazah aahistah pardhnay kay qayil
o fayil thay ¤ 

• = Aap sub kay khilaaf hain ¤ 

• = Phir menay pucha aap Qurbani ka
Gosht khatay hain ??? 

• = Kehnay laga haan ¤ 

• = May nay kaha Kam o Besh
1,24,000 Nabiyoon ki shariyat may
Qurbani ka Gosht khana jayiz na tha
aur sirf 1 hamaray PEGAMBER
SALLALLHU ALAHI WASALLAM kay
haan jayiz hay ¤ 

• = Ab aap 1 hi ki mantay hain ya un
sub ki ??? 

• = Kehnay laga k hamain to sirf
apnay NABI SALLALLALLAHU ALAII
WASALLAM ki tabedaari karni hay ¤ 

• = Hamain kiya zaroorat hay k dusri
taraf kitnay NABI hay ¤ 

• = May nay bhi kaha hamain bhi
Ijtehaadi Masayeel may apnay Imam ki
Taqleed karni chahiye - hamain iski
kiya zaroorat hay k dusri taraf kitnay
Imam hain ¤ 

• = Kehnay laga wo to Naasikh o
Mansookh ka maslah hay aur
Mansookh par Amal jayiz nahi ¤ 

• = May nay kaha yaha Raje'h o
Marjooh ka maslah hay aur Marjooh
par Amal jayiz nahi 

¤ TAJALLIYAT E SAFDAR SAY MAKHOOZ

No comments:

Post a Comment