¤ Andhy taqleed ka matlab ¤
GHAIR MUQALLIDEEN kehtay hain muqallid andhy taqleed karta hay - halaankay wo aqal kay andhay , andhy taqleed ka mafhoom hi siray say nahi jantay kiyoonkay andhy taqleed ka matlab ye hay k koi andha andhay k pechay [[yani jahil jahil kay pechay , lamazhab lamazhab k pechay]] chalay to isay urf e aam may andhy taqleed say taabeer kiya jata hay , zahir baat hay k is surat may jismani halaakat , deeni gumrahy or rohani tabahy kay siwa kiya haasil hoga ??? Lekin muqallid jo taqleed karta hay wo andhi nahi . Kiyonkay wo khud agercha'h be'ilm ya kam'ilm hay lekin is ka imam o muqtada'a jahil nahi , balkay ilm o baseerat rakhnay wala hay - isy liye wo imam ki taqleed karta hay taankay apni jahalaat o kam'ilmi ki bina'a per kahin thhoker na kha jaye - andhay muqallid to germuqallideen khud hain k inhoon nay apni tamaam ter jahalatoon or kam ilmiyoon k bawajood apni nazriyaaty lagamaay , imam abu hanifa'h rehmahullah , imam maalik rehmahullah , imam shafayi rehmahullah or imam ahmed bin hanbal rehmahullah jesay benaoon [danishmandoon] kay bjaye nawab waheeduz zamaa or muhammad juna gardhy jesay andhoon kay hathhoon may day rakhy hain . Jo mirza qadyani , abdullah chakralwi or gulam ahmed perwez jesay logoon ko to gumraahi kay gardhoon may dhakail chukay hain , or baaqi germuqallideen ko dhhakelnay ki koshish may hain ¤ Ya allah khud raayi , khud fehmi , kaj fehmi or bad fehmi say bacha hamay bhi or in germuqallideen ko bhi
¤ Aameen summa aameen
No comments:
Post a Comment