●●►Q11. NA AHAL ka maqaam kya hai.?
●►A11.
Kisi Mujtahid k iTaqleed karna, Na-Ahal ka maqaam hai. Ijtihad karna Na-Ahal ka
kaam Nahi.
Rasoolullah
(Sallallahu Alyhi Wa Sallam) ka irshaad hai:
"Mujh se sirf wahi batein naqal karo, JoTumhein Yaqeeni taur par ma'loom ho, isliye ke Jisne Qasdan meri taraf Jhooti baat mansoob ki usne apna Thikana Jahannam me bana liya aur Jo Qur'an me (baghair ilm ke) apni Raai chalayega usnebhi apne liye Thikana Jahannum me bana liya."
Aur ek rivayat me hai:
"Jisne Quran me apni Raailagayi aur Durust baat bhi paa li toh bhi Wo Gunahgaar hoga."[dekhiye: Tirmizi 2/123]

Imam Nawawi
(rahimahullah) farmate hain ke
"Musalmano
ka ittifaaq hai ke Mujtahid har Ijtihad me Ajar pata hai. Agar uska ijtihad durust
nikla toh 2 Ajar ka Mustahiq hai, 1 ajar ijtihad ka dusra Isbat (Sahih baat
pane) ka aur ijtihad Khata' nikla toh bhi 1 Ajar ijtihad ka milega. Haan, jo Na
Ahal hai usko ijtihad se Hukm karna kisi haal me Jayez nahi balke Wo Gunahgaar
hai. Uska Hukm Naafiz bhi nahi hoga agarche uska Hukm Haqq ke muwafiq ho ya
Mukhalif, kyonke Uska Haqq ko paa lena mehaz ittefaqi hai. Kisi asal Shari'i
par Mubni nahi. Pas wo tamam Ahkam me Gunahgar hai Haqq ke muwafiq ho ya
mukhalif aur uske nikaale hue tamam Ahkaam Mardood (rejected) hain. Uska koi
azr Shara'an Maqbool nahi." [Sharah
Nawawi Muslim 2/76]
Ghair Muqallideen ne is Gunah-e- Kabeera Jiska Thikana Dozaq ke Siva Kahin nahi, ka naam Tahqeeq rakha hai.
Wallahu Aa'lam.
No comments:
Post a Comment