Saturday, 11 January 2014

KUM ILM AADMI KAY LIYE DEEN PER AMAL KARNAY KI SURAT

 *** KUM ILM AADMI KAY LIYE DEEN PER AMAL KARNAY KI SURAT ***

• MISAAL = Ager 1 shukhsh kunwaan
banwaa kar waqf e aam karday aur
phir hazaroon loog is may say pani pi
rahay hain ¤ 

• Wazu'o aur ghusal karkay namazain
adaa karrahay hain ¤ 

• Khana pakana horaha hay ¤ 

• Ab koi shukhsh ye shoor machaday
k is kunwain ka ta'arufi name
chaudhry nawab deen kunwaan hay
is liye is may jo pani hay wo ALLAH ka
paida kiya huwa nahi hay wo
chaudhry nawab deen ka paida kiya huwa hay ¤ 

• Chaudhry nawab deen
[NAUZUBILLAH] ALLAH ka shareek ban
betha hay ¤ 

• Jo loog is kunwain say pani peetay
hain wo mushrik hain ¤ 

• Na in ka wazu'o sahi hay na ghusal
¤ 

• Na namaz durust hay ¤ 

• Na in ka rozah ¤ 

• To kiya koi aqalmand aadmi is ki
khurafaat per kaan dhharay gaa ? 

• Yahi haal yaha hay k aayimmah
mujtahideen nay kitab o sunnat kay
masayeel ko zaahir kardiya aur
kunwain ki shikal day di ¤ 

• Muqallideen in masayeel kay
muwaafiq Namaz , Roza , Hajj , Zaka'at
wagerah aamaal may masroof hogaye
¤ 

• Hamaray germuqallid dost kabhi to
kehtay hain k saari umer 1 hi kunwain
kay pani say wazu'o karna ye to
taqleed e shukhsh hay ¤ 

• Ye shirk hay ¤ 

• Her namazi ka farz hay k FAJR ki
namaz ka wazu'o apnay ghar kay
nalkay say karay ¤ 

• ZOHAR ka wazu'o dusray zila'a kay
nalkay say karay ¤ 

• ASAR ka wazu'o dusray soba'h kay
nalkay say ¤ 

• MAGHRIB ka dusray mulk kay
nalkay say aur EISHA'A ka wazu'o
dusray jahaan kay nalkay say warna 1
hi nalkay say sub namazoon kay liye
wazu'o karna goya taqleed e
shukhshi hay aur shirk hay ¤ 

• Ahle Sunnat Wal Jama'at kehtay hain
k jub hum kunwain kay mohtaaj hain
to jis kunwain ka pani aasani say
dastiyaab hojaye saari umer wazu'o o
ghusal karna bilkul durust hay ¤ 

• Is ko shirk keh kar tamaam
musalmanoon ko mushrik banana
DEEN ki koi khidmat nahi ¤ 

TANBEEH = Isi taqleed ko daraasal itteba'a kaha jata hay aur amal ka
taqaazah hay k aesa amal her jaahil
aur kam ilm aadmi kay liye nihaayat
zaroori hay ¤ 

Walillahil Humd

No comments:

Post a Comment