Saturday, 11 January 2014

TAQLID ke baare me kuch AHADEES

TAQLID ke baare me kuch AHADEES ::

NABI-e-PAK sallallaho alayhi wasallam ne Hazrat Abu Baqr Siddiq radiallahu anhu aur Hazrat Umar radiallahu anhu ki taraf ishara kar ke farmaya kimere baad inki taqlid(iqteda) karna.
(Tirmizi : jild-2, page-207)

NABI-e-PAK sallallaho alayhi wasallam ne farmaya : tum par laazim hai meri aur Khulafa-e-Rashdeen ki sunnat par amal karo.
(Tirmizi : jild-2, page-96)

taqlid ALLAH ka farman hai.. NABI sallallaho alayhi wasallam ka irshad hai.. sahaba ka tariqa hai.. ummat ka ma'amool hai aurfitrat ka taqaza hai. taqlid ka inkaar in sab ka inkar hai.

chaaro mazahib(Hanafi, Shafai, Hambali, Maaliki) ki taqlid(pairvi) par ummat ke qabil afraad ka ijma hai.
(Hujjatullahil : page-154)

ALLAH ki madad jama'at par hai. tum bade giroh ki taqlid karo. jo usse alag hoga wo jahannum me jayega.

No comments:

Post a Comment