Saturday, 11 January 2014

Taqleed ko kuch log Na Jayez kehte hain. Is silsile me Qurani Aayaat bhi pesh karte hain

●●►Q6. Taqleed ko kuch log Na Jayez kehte hain. Is silsile me Qurani Aayaat bhi pesh karte hain.?
●►A6. Taqleed ki 2 Qismein hain. Ek Jayez dusri Na-Jayez. Jis tarah Lughat ke aitbaar se Kutiya ke Doodh ko bhi doodh hi kaha jata hai aur Bhains ke doodh ko bhi doodh kehte hain.
          Ghair Muqallideen Kutiyah aur Bhains ke doodh me faraq nahi karte. In ko toh BAS DOODH PEENE SE MATLAB hai chaahe Kutiyah ka hi miley. Kuffaar, Allah wa Rasool (Sallallaahu Alyhi Wa Sallam) ko chhor kar apne Gumrah Aaba' wa Ajdaad ki Taqleed karte the aur kar rahe hain. Aisi Taqleed Na-Jayez wa Haraam hai.
[Dekhiye Surah Baqrah:170]
Aur Agar Aaba' wa Ajdaad Kitab-O-Sunnat per amal karne waaley ho to phir Unki TAQLEED Jaayezhai. Yusuf (alaihis salaam) apne Aaba wa Ajdaad ki Ittiba' kartey.

 [Dekhiye Surah Yusuf: 38]
Isi tatrah Agar Koi shaqs aise Mujtahid ki Taqleed karey Jo Kitab-O- Sunnat ko behtar samajh sakta ho to bila shuba' Ye Taqleed Jayez hai. Allah ta'la ka irshaad hai:"..us kiraah chalna jo Meri taraf jhuka hua ho.." [31:15]
Lo! Allah Ta'ala ka hukm bhi hai ke Mu'mineen ke Raastey per Chalo. Ghair Muqallideen Ya toh in aayaat ka inkaar kar dein Ya phir ye saabit kar dein ke 4 A'immah, Allah Ta'ala k itaraf Nahi Jhukey  ya'ni Mu'mineen ke Raaste par nahi the..

No comments:

Post a Comment