Saturday, 11 January 2014

JAB MERI BAAT QURAN HADEES KE KHILAF MILE TO USE PHENK DO KA MATLAB

●●►Q4. Imam AbuHanifah Rahimahullah ka Qoul. Iska kya matlab wa ma'na hai.?
●► A4. Ghair Muqallideen, isme bhidajjal wa fareb ka muzahera karte hue logo ko zehan nasheen karate hain ke iska ma'na hota hai Imam (rahimahullah) ka Zaati Qoul, Jo Na to Qur'an se saabithai Na Ahadees se. Toh koi Ghair Muqallid ye bata de ke Imam sahab (Rahimahullah) ka Qoul Qur'an wa Ahadees se sabit nahi toh phir Kis Kitaab se sabit hai. Us kitab ka naam toh bataiye.?

Muhaddiseen Jo Hadees ki Sihat bataatey hain Kya wo Qur'an wa Hadees se saabit hai.? Agar Nahi hai to Phir Ye TAQLEED hui ke Nahi.? Imam (Rahimahullah) ke Qoul ka asal matlab wama'na toh ye hai ke Jo masla' Qur'an wa Ahadees me Siraahtan maujood Nahi. Us masla' ko Qur'an ki ayatein wa Ahadees se akhz kar ke us Qur'ani Ayat  ya Hadis ka Saheeh ma'na apne zaati Qoul me bayaan karna hai. Chaar Aimma-e-Mujtahideen ke khilaf itna bughz in Ghair muqallideen ke Dilon me bhara pada hua hai ke Jiski koi hadd nahi.. Imam Sahab (rahimahullah) par Jhoot baandhne ka koi mouqa nahi chhorte..
Sunni Musalmano me apne Firqe ko phailane ke liye ek taraf toh kehte hain ke 4 A'immah bohat ilm waaley the waghera aur phir dusri taraf ya'ni ilmi Mubaahison me kehte hain ke Imam (rah.) ka Qoul, Unke masaail, Qur'an wa Ahadees se akhz Nahi hain aur ek Bayan me toh yahan tak Gustaqi kar daali ke Imam rahimahullah Gumrah hain. Aur Ye bhi kehte hain ke Imam (rah.) Murjee' wa mu'tazilah hain waghera. (Naoozubillah min Zaalik).

Lekin Sa'udi ke Riyaalon ki Khaatir Wahan ke Ghair-Muqallideen, Imam Abu Haneefah (rahmatullahi alaih) Ka DIFA' Kartey hain.
Qaara'een-e-Kiraam! Aap hi Batayein ke Do Mundiyon ke Saanp ki Chaal me aur in Ghair ke Muqallideen me Kya Faraq reh gayahai.?

Hafiz Abdul Barr (Rahimahullah)ne Imam Abdullah bin Mubarak (Rahimahullah) se naqal kiya hai ke:
"Imam Abu Haneefah (Rahimahullah), 'Ilm ko bohat zyadah Ukhaz Karne waaley the. Badi shiddat ke sath Hudood-e-Ilahiyah se mudafi'at farmaate the ke Kahin Unki be-hurmati na hone paaye. SAHEEH AHADEES KO LETE THE Jo SIQAH RAAVIYON KE ZARIYE MARVI HAIN. Aur Rasoolullah (Sallallahu Alyhi Wa Sallam) ke Aakhri se aakhri fa'el (amal) ko lete the. AUR US FA'EL KO JIS PAR AAP NE ULEMA E KOOFA KO PAAYA THA. Phir bhi kuch Logo ne Aap ko bura bhala kaha. Allah ta'la humey bhi mu'af farmaye aur Un logo ko bhi."

 [AL-INTIQA page 142]

No comments:

Post a Comment