Saturday, 11 January 2014

Ek Lateefah

¤ LATEEFAH ¤

•= 1 dafa 1 lamazhab Sheikh ul Hadees
Sahab 1 Dukaan par gaye  

•= Waha 1 Hanfi Noujawân ko pucha
kiya tum Muqallid ho ? 

•= Is nay kaha G haan may Anpardh
hoon zahir hay k meray paas kisi Aalim
par Aetmaad kay siwa koi charah kaar
nahi is liye TAQLEED kay bagair na
NAMAZ pardh sakta hoon na koi Deeni
kaam saranjaam day sakta hoon  

•= Sheikh ul Hadees Sahab nay kaha
kis ki TAQLEED karogay ? 

•= Is nay kaha Aap bhi AALIM hay -
may Aap par Aetmaad kar kay
Masayeel puchloon gaa aur Aap ki
TAQLEED karloon gaa  

•= Ye baat sunkar Sheikh ul Hadees
Sahab khamosh hogaye  

•= Wo Noujawaan thordhi dair
khamosh raha k Sheikh ul Hadees
Sahab apni TAQLEED say mujhay mana'a
karain gay  

•= Koi Aayat ya Hadees pardhain gay  

•= Magar Sheikh ul Hadees Sahab
khamosh rahay  

•= Is Noujawaan nay kaha Hazrat agar
may kehdeta k may Hazrat Imam e
Azam Abu Hanifa'h Rehmahullah ki
TAQLEED karta hoon to saraa Quran
meray khilaaf pardha jata  

•= Kabhi Abu jahal kay mutalliq Aayaat
mujh per Fit ki jateen  

•= To kabhi Ahbaro Ruhbaan wali
Aayat meray IMAM per chaspaan ki
jateen  

•= Kabhi mujhay Mushrik kaha jata  

•= Kabhi meray IMAM ko Qiyaas e
Sharayi ki waja'h say Shetaan kaha jata  

•= Kabhi TAQLEED ko kuttay ka patta
kaha jata  

•= Kabhi meray MUHAMMADI honay ka
inkaar kiya jata  

•= Mujhay NABI SALLALLAHU ALAIHI
WASALLAM ka munkir, Deen ka
dushman kaha jata, Magar ab may aap
ki TAQLEED kay liye tayyar hoon 

•= Ab na koi Aayat meray khilaaf
pardhi hay aur na koi Hadees  

•= Maloom huwa ikhtelaaf TAQLEED
may nahi  

•= Wo to aapki Awaam may bhi paayi
jati hay  

•= Sirf IMAM ABU HANIFA'H
REHMAHULLAH say Hasad hay k loog in
ki TAQLEED kiyoon kartay hain ? Hamari
kiyoon nahi karte  
•= Hum jis Tarah Doctor ko chordh kar
Anaardhi say Dawaayi nahi letay  

•= Wakeel ko chordh kar Jaahil say
Qanooni Mashwarah nahi letay  

•= Isy tarah HAZRAT IMAM E AZAM
REHMAHULLAH kay muqablay may Aap
ko Na'ahel Samajhtay hain is liye Aap ki
TAQLEED nahi kartay  

• Bu'e Hanifa'h (rh) ki TAQLEED may hay
Maza
• Kiyoon may chabaaon pattay Samar
(phal) Chordh kar ?

No comments:

Post a Comment